tujh ko dekhā to mirī aañkh ne dekhā mujh meñ
jhilmilātā hai koī pahle hī tujh sā mujh meñ
ek girte hue aivāñ kā bharosā kyā hai
bas isī ḳhauf se vo shaḳhs na Thahrā mujh meñ
itnā gahrā thā ki gahrā.ī mujhe le Duubī
sab kināroñ pe rahe koī na utrā mujh meñ
baiTh jaatā hai thakā dard yahāñ aa ke kabhī
yaad kyā hai tirī dīvār kā saaya mujh meñ
ga.e mausam kī khulī dhuup na yādoñ pe paḌe
barf pighlegī to chaḌh jā.eñge dariyā mujh meñ