R P Shokh

jism ka ghar hi gira hai to na jaan Thahregi

R P Shokh

jism kā ghar hī girā hai to na jaañ Thahregī
yaad aa.ī bhī kisī kī to kahāñ Thahregī
thak ke baiThā huuñ magar zindagī bhāgī jaa.e
maiñ chalā jā.ūñgā to umr-e-ravāñ Thahregī
us ke dar se jo uThe shahr se phir kyā matlab
kisī sahrā meñ hī ab naql-e-makāñ Thahregī
bhuul kar bhī na bhulānā use ai dil varna
ye subuk-doshī bhī ik bār-e-garāñ Thahregī
ḳhud pe har rut ko guzarte hue dekhā thā magar
kyā ḳhabar thī ki yahīñ ek ḳhizāñ Thahregī
Top Urdushayar.com