dard uTh uTh ke ye kahtā hai rag-e-jāñ ke qarīb
abhī zindāñ meñ huuñ lekin dar-e-zindāñ ke qarīb
aag jañgal bharī nīñdoñ meñ lagāne vaale
tum bhī aanā na mire ḳhvāb-e-pareshāñ ke qarīb
ḳhushk āñkhoñ meñ tire ḳhvāb basā.ūñ kaise
koī chashma bhī zarūrī hai bayābāñ ke qarīb
sardiyoñ kī ye ḳhunuk dhuup bhī pighlāne lagī
jaise baiThā huuñ usī sho.ala-ba-dāmāñ ke qarīb
aañkh khulte hī na vo thā na charāġhāñ na ḳhumār
raat guzrī thī kisī chāñd se mehmāñ ke qarīb
Duub jaatā huuñ maiñ har sub.h ufuq meñ dil ke
shahr-e-jānāñ se pare shahr-e-ḳhamoshāñ ke qarīb