vo to hashr thā magar us kī ab vo shabāhateñ bhī chalī ga.iiñ
jo raheñ to shahar meñ kyā raheñ ki qayāmateñ bhī chalī ga.iiñ
tire dam se thiiñ sabhī raunaqeñ vo habīb the ki raqīb the
vo qarābateñ to ga.ī hī thiiñ vo riqābateñ bhī chalī ga.iiñ
tirā qurb garche thā jāñ-gusil vahī qurb thā mirī zindagī
tire baad marg-o-hayāt kī vo rifāqateñ bhī chalī ga.iiñ
mirī aarzū thī ki jāñ-ba-kaf mirī justujū ki nafas ba-pā
ab ai zindagī mujhe chhoḌ jā ki ye hālateñ bhī chalī ga.iiñ
tū ne dī jo dard kī daulateñ vo ġhazal ġhazal na samā sakīñ
mire haath se tire husn kī ye virāsateñ bhī chalī ga.iiñ
use dekh dekh ke sochnā use soch soch ke dekhnā
vo aziiz kyā ki azīz-tar ka.ī ādateñ bhī chalī ga.iiñ