jab ek gul-ezār kī sohbat meñ aa gayā
aariz kā rañg merī tabī.at meñ aa gayā
apnī razā se jis ne marāsim baḌhā.e the
arz-e-talab pe vo bhī nazākat meñ aa gayā
jī ke zarar ko kaun uThātā hai āj-kal
is dil ko daad de ki mohabbat meñ aa gayā
phirtā huuñ dahr meñ liye ye dostī kā haath
lagtā hai maiñ bhī ku-e-malāmat meñ aa gayā
be-dil se ek kar ke vafā yuuñ lagā mujhe
ye haath ik machine kī ḳhidmat meñ aa gayā