thī qahr-e-sādgī bhī sañvarne se peshtar
shah-rag pe neshtar thā utarne se peshtar
phirtā huuñ dar-ba-dar maiñ magar misl-e-bū-e-gul
merā bhī thā maqām bikharne se peshtar
be-ashk kyā huā ki maiñ be-aks ho gayā
ā.īna thā ye paanī utarne se peshtar
hijrat se pahle hijr ke the vasvase mujhe
har lamha hādisa thā guzarne se peshtar
is naz-e-intizār ko ik umr ho chalī
kaisī hameshgī hai ye marne se peshtar