ham zindagī-shanās the sab se judā rahe
bastī meñ haul aayā to jañgal meñ jā rahe
kamre meñ mere dhuup kā aanā ba-vaqt-e-sub.h
āñkhoñ meñ kaash ek hī manzar basā rahe
phir aaj mere dard ne mujh ko manā liyā
koī kisī aziiz se kab tak ḳhafā rahe
kab tak kisī paḌāv pe vahshat kare qayām
kab tak kisī ke hijr kā saaya ghanā rahe
baabā ye mujh haqīr ko itnī baḌī duā
tū baat kā dhanī hai tirā qad sivā rahe
'shahpar' sada-e-vaqt se kar lo musālahat
mahrūmiyoñ ke dar pe koī kyuuñ paḌā rahe