ye ittifāq thā maiñ us kā ham-zamāna thā
jo zindagī se ta.āruf thā ġhā.ebāna thā
kahīñ mile to kabhī umr-e-rafta se pūchhūñ
kahāñ hai aaj tirā jis se dostāna thā
banā ke ab mujhe īñdhan jalā.e jaatā hai
yahī thī shāḳh kabhī jis pe āshiyāna thā
kabhī jo zo.am huā vaqt rah gayā pīchhe
nazar uThā.ī to dekhā vahī zamāna thā
kahāñ thī koī samā.at makīñ vahāñ to faqat
jabīn-sā.ī kī ḳhātir ik āstāna thā
kabhī ġhazāl sī ḳhū-e-gurez hī na ga.ī
thī qurbateñ to bahut ek shāḳhsāna thā