ye hādisa hai magar us taraf huā bhī nahīñ
judā huā bhī to us se jo jāntā bhī nahīñ
kabhī to soch tujhe kitnā sochtā hogā
vo ġham-zada jo tirī samt dekhtā bhī nahīñ
ye dil ne ruuTh ke kin mushkiloñ meñ Daal diyā
usī ko chāhnā aur us se bolnā bhī nahīñ
hameñ to niiñd meñ sapnoñ kī bhī manāhī hai
darīche band bhī rakhne haiñ jhāñknā bhī nahīñ
nigah kā ghar se nikalnā thā jurm pahle hī
aur ab ye hukm huā hai ki sochnā bhī nahīñ