shahroñ meñ nāchtā huā jañgal hai aur maiñ
sadiyoñ ke baad bhī vahī qātil hai aur maiñ
paañv kī gard ho chukīñ kitnī masāfateñ
ab bhī magar vo dūrī-e-manzil hai aur maiñ
samjhūñ ab aur kyā tujhe kāfir-adā nizām
barsoñ se ek vāda-e-bātil hai aur maiñ
pūchho pasand to hai vahī chashm-e-nīm-bāz
vaise har ek gaam pe maqtal hai aur maiñ