naqsh dīvār-e-shikasta hī kahīñ ho mujh meñ
dard ho yaad ho koī to makīñ ho mujh meñ
ik jazīra huuñ tah-e-ḳhūn-e-tamannā kab se
paañv rakhne ke liye kuchh to zamīñ ho mujh meñ
ḳhuun baaqī hai to phir zaḳhm se bāhar aa.e
rañg dikhlā.e jo ik buuñd yaqīñ ho mujh meñ
maiñ tire ġham kī amānat ko sambhāle rakkhūñ
saañs koī to magar merā amiiñ ho mujh meñ
mujh sulagte hue jañgal pe hai chaḌhtī āñdhī
lauT jaa.e jo bhī ab gosha-nashīñ ho mujh meñ