ġham to ye bhī hai ki taqdīr bhī roī barsoñ
haa.e vo zulf-e-girah-gīr bhī roī barsoñ
dil kisī sā.at-e-giryāñ kā navishta jis kī
huī tafsīr to tafsīr bhī roī barsoñ
ābdīda bhī thā maiñ naqsh ba-dīvār bhī thā
mujh ko dekho ki ye tasvīr bhī roī barsoñ
us ko bhī karnā paḌī dasht-navardī kyā kyā
paañv paḌ kar mire zanjīr bhī roī barsoñ