zahr-e-shab vīrān bistar ai ḳhudā
karb ik manzar-ba-manzar ai ḳhudā
maiñ tire shāhīñ kā 'shahpar' ai ḳhudā
kaun hai mere barābar ai ḳhudā
kaash tū bhī mujh meñ aa kar dekhtā
Dūbte sūraj kā manzar ai ḳhudā
dostī aur dushmanī ke naam se
qaid huuñ kis kis ke andar ai ḳhudā
zer kuchh baune mujhe kaise kareñ
in haqīroñ kī madad kar ai ḳhudā
biich meñ māsūm sā ik aadmī
har taraf sāñpoñ ke lashkar ai ḳhudā