Mauj Fatehgarhi

haal-e-dil sun ke mera sar-ba-gareban kyun hain

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
hāl-e-dil sun ke mirā sar-ba-garebāñ kyuuñ haiñ
jo kiyā aap ne ab us pe pashemāñ kyuuñ haiñ
mad-bhare nain ye aur husn-o-javānī kā nikhār
aa.ina dekh ke aaj aap bhī hairāñ kyuuñ haiñ
merī har sa.ī-e-vafā ho ga.ī be-kār magar
dil meñ phir bhī mire baḌhte hue armāñ kyuuñ haiñ
mirī nākāmiyoñ kā marsiya paḌhne ke bajā.e
kuchh batā.eñ to sahī aap ġhazal-ḳhvāñ kyuuñ haiñ
pahle āġhāz-e-mohabbat meñ sahārā de kar
aap ab merī mohabbat se pareshāñ kyuuñ haiñ
mere ash.ār to paḌhte haiñ baḌe shauq se aap
aur ash.ār ke ḳhāliq se gurezāñ kyuuñ haiñ
bahr-e-ulfat meñ safīne to bahut haiñ ai 'mauj'
merī hī kashtī ko ghere hue tūfāñ kyuuñ haiñ
Top Urdushayar.com