naqsh daur-e-māzī ke zehn meñ ubharte haiñ
bhūlī-bisrī rāhoñ se jab kabhī guzarte haiñ
añg añg hañstā hai zāviye nikharte haiñ
jab vo muskurāte haiñ jab vo baat karte haiñ
ham unhīñ pe jān-o-dil bhī nisār karte haiñ
apnā hāl-e-dil jin se arz karte Darte haiñ
is qadar na hotā zaañ aarzī bulandī par
uḌne vaale taa.ir ke bāl-o-par katarte haiñ
nashsha-e-javānī meñ uḌte haiñ havāoñ par
āsmān se nīche kab vo paañv dharte haiñ
mehr-o-mah kī gardish meñ DhūñDhte haiñ qismat ko
apnī apnī kartī par kam nigāh karte haiñ
jaur-o-jabr kā un kā silsila nahīñ TuuTā
go vafāoñ ke ham ne sab usuul barte haiñ
kuchh sukūn detī haiñ badliyāñ umīdoñ kī
yās-o-huzn ke tūfāñ sar se jab guzarte haiñ
'mauj' bahr-e-ulfat meñ lāzmī haiñ ġhavvāsī
ġharq hone vaale hī paar bhī utarte haiñ