ḳhushbū guloñ meñ tāroñ meñ tābindagī nahīñ
tum bin kisī bhī shai meñ koī dilkashī nahīñ
jab tum nahīñ ho paas ḳhushī bhī ḳhushī nahīñ
jaltī hai sham.a sham.a meñ bhī raushnī nahīñ
ulfat meñ bhī sukūn kī daulat milī nahīñ
jiitā to huuñ zarūr magar zindagī nahīñ
vo kyā samajh sakegā mohabbat kī azmateñ
jis ko kabhī kisī se mohabbat huī nahīñ
tum mujh ko bevafā.ī ke ta.ane hazār do
ilzām-e-bevafā.ī se tum bhī barī nahīñ
jab se lagī hai aañkh mirī husn-e-yār se
sach pūchhiye to aañkh abhī tak lagī nahīñ
is tarah rāh-e-ishq meñ sajde adā kiye
merī jabīn-e-shauq jhukī phir uThī nahīñ