Mauj Fatehgarhi

nazron ka mohabbat bhara paigham bahut hai

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
nazroñ kā mohabbat bharā paiġhām bahut hai
majbūr-e-vafā ke liye in.aam bahut hai
kuchh bāda-o-sāġhar kī zarūrat nahīñ mujh ko
āñkhoñ se chhalaktī mai-e-gulfām bahut hai
kyā haal ho kyā jaane shab-e-ġham kī sahar kā
betābī-e-dil aaj sar-e-shām bahut hai
tauhīn-e-mohabbat haiñ mohabbat meñ ye shikve
lagtā hai abhī husn-e-talab-ḳhām bahut hai
be-vaj.h mujhe bevafā kahte to ho lekin
tum par bhī isī qism kā ilzām bahut hai
nādān rah-e-ishq ko āsān na samjheñ
is raah meñ kaThinā.ī ba-har-gām bahut hai
is shauq adāoñ ko koī kuchh nahīñ kahtā
charchā mirī ulfat kā sar-e-ām bahut hai
kuchh aa hī gayā dost kā dushman kā salīqa
ehsān tirā gardish-e-ayyām bahut hai
afkār-e-zamāna kabhī afkār-e-mohabbat
hai zindagī thoḌī sī magar kaam bahut hai
ai 'mauj' sukūñ-baḳhsh haiñ amvāj-e-mohabbat
āġhosh meñ tūfāñ ke bhī ārām bahut hai
Top Urdushayar.com