Mauj Fatehgarhi

dil mein bandon ke bahut KHauf-e-KHuda tha pahle

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
dil meñ bandoñ ke bahut ḳhauf-e-ḳhudā thā pahle
ye zamāna kabhī itnā na burā thā pahle
raam ke raaj kī tasvīr thī apnī dhartī
maslak-e-fikr-o-amal uns-o-vafā thā pahle
ek insān se be-vaj.h ho insān ko bair
ye vatīra kabhī dekhā na sunā thā pahle
hindū-o-muslim-o-īsā.ī-o-sikh mel se the
aapsī prem kā ulfat kā mazā thā pahle
qaumī yak-jehtī kā ādarsh thā ye bhāratvarsh
ham ne paiġhām-e-vilā sab ko diyā thā pahle
bādshāh aur gadā sab ke barābar the huqūq
nayāy meñ koī bhī chhoTā na baḌā thā pahle
rāst-goī thī yahāñ ġhair-muqaffal the makāñ
desh meñ aisā bhī ik daur rahā thā pahle
desh meñ phir se mohabbat ho ravādārī ho
kaash aa jaa.e zamāna jo rahā thā pahle
maujzan rahtā thā tūfān-e-uḳhūvat ai 'mauj'
dil meñ tūfān mohabbat kā basā thā pahle
Top Urdushayar.com