Mauj Fatehgarhi

jab hum hudud-e-dair-o-haram se guzar gae

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
jab ham hudūd-e-dair-o-haram se guzar ga.e
har samt un kā jalva ayaañ thā jidhar ga.e
is tarah vo nigāh-e-karam aaj kar ga.e
dil ko surūr-e-bāda-e-ulfat se bhar ga.e
vo ham ko apne dil ke hī andar nihāñ milā
jis kī talāsh karte hue dar-ba-dar ga.e
kuchh ahl-e-zarf dekhte haiñ us ke nuur ko
mahrūm dīdiyoñ ko bahut dīda-var ga.e
dil le gayā hameñ phir usī bevafā ke paas
jaanā nahīñ thā ham ko jahāñ ham magar ga.e
vo aa ga.e to jal uThe ummīd ke charāġh
vo hans diye to bazm meñ motī bikhar ga.e
āñkhoñ meñ ashk-e-ġham liye ham vaqt-e-alvida
nazroñ se un ke saath tā-hadd-e-nazar ga.e
dekhā hameñ to garam-nigāhī pighal ga.ī
mizhgāñ ke tiir bhauñ kī kamāñ se utar ga.e
un ke mazīd va.adoñ pe kaise yaqīn ho
ab tak jo va.ada kar ke barābar makr ga.e
ye aur aur baat phir gayā paanī ummīd par
ham un kī bazm meñ kisī ummīd par ga.e
phir us ko purshish-e-ġham-e-ulfat se fā.eda
ghuT ghuT ke jis ke siine meñ armān mar ga.e
ai 'mauj' merī kashtī-e-ulfat vahīñ rahī
tūfān mere chāroñ taraf se guzar ga.e
Top Urdushayar.com