Mauj Fatehgarhi

jahan gham hai na ab koi KHushi hai

Mauj Fatehgarhi

Farrukhabad, Uttar pradesh, India

1922
jahāñ ġham hai na ab koī ḳhushī hai
mohabbat us jagah par aa ga.ī hai
jise dekho use apnī paḌī hai
zamāne kī bahut hālat girī hai
musalsal fikr-e-duniyā fikr-e-uqbā
ab aisī zindagī kyā zindagī hai
maiñ apne dil kī bāteñ kah rahā huuñ
zamāne ke liye ye shā.irī hai
sakūñ miltā hai un kī yaad kar ke
ilāj-e-tishnagī ḳhud tishnagī hai
diloñ meñ hai añdherā ahd-e-nau kā
ba-zāhir raushnī hī raushnī hai
baḌī mushkil hai mīr-e-kārvāñ kī
bahut phailī huī be-rah-ravī hai
na.ī tahzīb meñ sab kuchh hai lekin
faqat insāniyat hī kī kamī hai
ye lagtā hai taraqqī kar rahe haiñ
girāvaT roz baḌhtī jā rahī hai
kahīñ patthar na phīke ye zamāna
terī fikr-o-amal shīshagarī hai
uThā hai ek kone meñ dhuāñ sā
kahīñ shāyad koī bijlī girī hai
karūñ ai 'mauj' kyā ummīd-e-sāhil
ki ab tūfāñ meñ kashtī ghirī hai
Top Urdushayar.com