jazbāt kā ḳhāmosh asar dekh rahā huuñ
bechain hai dil aañkh ko tar dekh rahā huuñ
ḳhākistar-e-parvāna hai bujhtī huī sham.eñ
rañgīn mohabbat kī sahar dekh rahā huuñ
mauhūm huā jaatā hai ab maqsad-e-hastī
bātil ko haqīqat pe zabar dekh rahā huuñ
chhā.e haiñ kuchh is tarah mire dīda-o-dil par
har samt vahī haiñ maiñ jidhar dekh rahā huuñ
manzil kā pata hai na maqāmāt safar kā
tayyār hai ab raḳht-e-safar dekh rahā huuñ
jis raah se guzre the mohabbat ke musāfir
sunsān vahī rāhguzar dekh rahā huuñ
ai 'mauj' balā-ḳhez hai dariyā-e-mohabbat
tūfān kā aalam hai jidhar dekh rahā huuñ