ab aisī bāteñ koī kare jo sab ke man ko lubhā jaa.eñ
koī to aisā giit chhiḌe vo jis ko suneñ aur aa jaa.eñ
be-tāl hai kaisī ye sargam be-lahrā panjam hai maddham
jo raag hai dīpak is man meñ us raag ko kaise gā jaa.eñ
ab chalnā hai to chalnā hai kyā paañv ke chhāloñ ko dekheñ
is dhartī kī pag-DanDī se koī Thikānā pā jaa.eñ
ye merā lahū vo terā lahū ye merā ghar vo terā hai
jo aag lagī hai donoñ meñ ab jaate jaate bujhā jaa.eñ
ye Dher nahīñ hai miTTī kā ik 'sālik' thak kar soyā hai
kuchh os girā do palkoñ se kuchh phuul yahāñ lahrā jaa.eñ