Salik Lakhnavi

wusat-e-daman-e-dil ko gham tumhaara mil gaya

Salik Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1913
vus.at-e-dāmān-e-dil ko ġham tumhārā mil gayā
zindagī ko zindagī bhar kā sahārā mil gayā
har dil-e-dard-āshnā meñ dil hamārā mil gayā
paara paara ho chukā thā paarā paarā mil gayā
ham ki maiḳhāne ke vāris the haiñ ab tak tishna-lab
chand kam-zarfoñ ko sahbā kā ijārā mil gayā
jis ne ḳhālī jaam paTkā us mujāhid ko salām
mai-kade meñ aaj pyāsoñ ko ishārā mil gayā
nā-ḳhudā ye donoñ sāhil ek hī dariyā ke haiñ
ye kināra mil gayā yā vo kinārā mil gayā
ham ne apne qāfile meñ us ko shāmil kar liyā
jo thakā-hārā milā jo ġham kā maarā mil gayā
phir koī iisā farāz-e-dār kī zīnat banā
phir kisī tārīk shab ko ik sitārā mil gayā
Top Urdushayar.com