Salik Lakhnavi

baDhte hain KHud-ba-KHud qadam azm-e-safar ko kya karun

Salik Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1913
baḌhte haiñ ḳhud-ba-ḳhud qadam azm-e-safar ko kyā karūñ
zer-e-qadam hai kahkashāñ zauq-e-nazar ko kyā karūñ
tez hai kārvān-e-vaqt tishna hai justujū abhī
rok luuñ zindagī kahāñ shām-o-sahar ko kyā karūñ
dair-o-haram ke rañg bhī dekh chukī nigāh-e-zīst
dil meñ to hai vahī chubhan āh-e-sahar ko kyā karūñ
aaj bhī hai vahī maqām aaj bhī lab pe un kā naam
manzil be-shumār gaam apne safar ko kyā karūñ
yaad kisī kī aa ga.ī ho ga.ī dhundlī kā.enāt
parde meñ chhup gayā koī dīda-e-tar ko kyā karūñ
kitnī umīdoñ ke charāġh raah meñ bujh ke rah ga.e
apne to paañv thak ga.e shauq-e-safar ko kyā karūñ
ho ga.ī zindagī kī shaam 'sālik'-e-rāh thak ga.e
manzileñ duur ho ga.iiñ rāh-e-guzar ko kyā karūñ
Top Urdushayar.com