Shehpar Rasool

dil mein shola tha so aankhon mein nami banta gaya

Shehpar Rasool

Bachhraon, Uttar pradesh, India

1956
dil meñ shola thā so āñkhoñ meñ namī bantā gayā
dard kā benām jugnū raushnī bantā gayā
ek aañsū ajnabiyat kā nadī bantā gayā
ek lamha thā takalluf kā sadī bantā gayā
kyā labālab roz o shab the aur kyā vahshī thā maiñ
zindagī se duur ho kar aadmī bantā gayā
kab junūñ meñ khiñch ga.ī pairoñ se arz-e-e'tidāl
aur ik yūñhī sā jazba āshiqī bantā gayā
rafta rafta tīrgī ne dasht-e-jāñ sar kar liyā
raushnī kā har fasāna an-kahī bantā gayā
zindagī ne kaise rāzoñ kī piTārī khol dī
āgahī kā har tayaqqun gumrahī bantā gayā
shahr kā chehra samajh kar dekhte the sab use
aur vo ḳhud se bhī 'shahpar' ajnabī bantā gayā
Top Urdushayar.com