hogī is Dher imārat kī kahānī kuchh to
DhūñD alfāz ke malbe meñ ma.ānī kuchh to
log kahte haiñ ki tū mujh ko burā kahtā hai
maiñ bhī sun luuñ tire hoñToñ kī zabānī kuchh to
barf ne karb kī patvār ko bhī toḌ diyā
dil ke dariyā ko atā kar de ravānī kuchh to
bhuul baiThe haiñ vo bachpan ke fasāne lekin
yaad hogī unheñ pariyoñ kī kahānī kuchh to
naqsh-e-pā tak bhī na chhoḌegī havā hai pāgal
kaun jānib mujhe jaanā hai nishānī kuchh to
tere ehsās meñ shole haiñ ye maanā 'shahpar'
sirf rasmī hī sahī barf-bayānī kuchh to