us kī bāteñ kyā karte ho vo lafzoñ kā baanī thā
us ke kitne lahje the aur har lahja lā-fānī thā
jab maiñ ghar se niklā thā tab ḳhushk zabāñ par kāñTe the
aur jab ghar meñ vāpas aayā gardan gardan paanī thā
jab kuchh māsūmoñ kī jaañ thī haivānoñ ke narġhe meñ
tab har sūrat ho saktī thī har ḳhatra imkānī thā
nām-e-ḳhudā ab bhī jaarī hai sab kī zabānoñ par lekin
jis jazbe ne paar lagāyā vo jazba shaitānī thā
aaj kī mahfil meñ ai 'shahpar' nukta-chīnī thī mujh par
terā to kuchh zikr nahīñ thā tū kyuuñ paanī paanī thā