hotā agar dabīz junūn-e-safar kā rañg
ḳhud hī utarne lagtā rah-e-pur-ḳhatar kā rañg
sūraj ġhurūb hote hue mujh se kah gayā
kuchh to batā ki kaisā hai ḳhūn-e-jigar kā rañg
ai ahliyān-e-amn-o-aḳhūvat maiñ kyā kahūñ
kis darja surḳh hai tire dīvār-o-dar kā rañg
maanā ki lab ḳhamosh the āñkheñ to chup na thiiñ
sab raaz faash kar gayā terī nazar kā rañg
haañ ai amīr-e-shahr zarā aañkh to milā
tujh ko batā.ūñ kyā hai ruḳh-e-mo'atabar kā rañg
maiñ āsmān oḌh ke soyā rahā 'sabā'
ġhurbat pe merī hañstā rahā shab qamar kā rañg