tumheñ batā.ūñ ki kis mashġhale se aa.ī hai
mirī nazar meñ chamak ratjage se aa.ī hai
ḳhayāl jaise hī aayā zarā sā dam le luuñ
to ik sadā-e-jaras qāfile se aa.ī hai
chamak rahī hai jabīñ naqsh-e-pā kī barakat se
vo bil-yaqīñ tire rāste se aa.ī hai
ye kyā ajab hai ki mujh ko hī kuchh nahīñ ma.alūm
jo merī baat tire vāste se aa.ī hai
tum apne jism kī ḳhushbū sambhāl kar rakhnā
ye bahkī bahkī sadā aa.ine se aa.ī hai
bas itnī zid thī musallā bichhā ke piinā hai
palaT ke merī anā mai-kade se aa.ī hai
jise bhulā.e zamāna guzar chukā thā 'sabā'
usī kī yaad baḌe valvale se aa.ī hai