ġham-e-hayāt ko likkhā kitāb kī mānind
aur ek naam ki hai intisāb kī mānind
na jaane kah diyā kis be-ḳhudī meñ saaqī ne
surūr-e-tishna-labī hai sharāb kī mānind
bahut qarīb se dekhā to inkishāf huā
vo ḳhaar ḳhaar hai shāḳh-e-gulāb kī mānind
mirā savāl ki kis ne mujhe tabāh kiyā
tirā sukūt mukammal javāb kī mānind
maiñ apnī āñkhoñ ko rakhtā huuñ bā-vazū har-dam
ki terā zikr muqaddas kitāb kī mānind
mujhe aziiz haiñ ḳhvāboñ kī kirchiyāñ bhī 'sabā'
kisī nigāh meñ hoñgī azaab kī mānind