Kamran Ghani Saba

ilzam-e-tirgi ke sada us pe aae hain

Kamran Ghani Saba

1989
ilzām-e-tīrgī ke sadā us pe aa.e haiñ
jis ne charāġh apne lahū se jalā.e haiñ
shāyad use hamārī anā kā gumāñ na thā
ham tishnagī paTak ke samundar se aa.e haiñ
ye dilkashī subūt hai ai jān-e-shā.irī
phūloñ ne rañg tere laboñ se churā.e haiñ
hairāñ hai vo bhī vus.at-e-parvāz dekh kar
jis ne hamārī fikr par pahre biThā.e haiñ
tark-e-ta.alluqāt pe vo bhī the ġham-zada
aur ham bhī apnī zaat se jañg haar aa.e haiñ
ab naam kyā batā.ūñ ki ġham kis kā hai 'sabā'
āñkheñ mirī zarūr haiñ aañsū parā.e haiñ
Top Urdushayar.com