Habeeb Moosavi

dagh-e-dil hain ghairat-e-sad-lala-zar ab ke baras

Habeeb Moosavi

dāġh-e-dil haiñ ġhairat-e-sad-lāla-zār ab ke baras
ba.ad muddat ke hai phir josh-e-bahār ab ke baras
ābiyārī se tirī ai teġh-e-yār ab ke baras
taḳhta-e-gul hai hamārā jism-e-zār ab ke baras
tā-ba-dāman hai garebāñ taar taar ab ke baras
TūTte haiñ talvoñ meñ chubh chubh ke ḳhaar ab ke baras
hai ye zor-e-āmad-e-fasl-e-bahār ab ke baras
mast haiñ zāhid bhī misl-e-bāda-ḳhvār ab ke baras
ulfat-e-sāqī ne lo zāhid ko bhī khīñchā idhar
daur-e-mai kā sub.ha par hogā shumār ab ke baras
fasl-e-gul meñ ba.ad-e-murdan bhī huā josh-e-junūñ
sañg-e-tiflāñ se ho tarmīm-e-mazār ab ke baras
shīshe meñ pinhāñ hai mai aur dil meñ zauq-e-mai-kashī
aate hī saaqī ke ai abr-e-bahār ab ke baras
sāqiyā ainak chaḌhe hoñ ranj-o-ġham bālā-e-tāq
bāda-e-dī-sāla kā shīsha utaar ab ke baras
zulm par bāñdhī hai phir sayyād-o-gulchīñ ne kamar
qaid-e-bulbul kī hai gulshan meñ pukār ab ke baras
aarzū hai ba.ad-e-murdan bhī rahūñ sairāb-e-mai
sarf-e-jām-o-ḳhum kareñ merā ġhubār ab ke baras
josh-e-ḳhūn-e-bulbul-e-shaidā kā paidā ho asar
le agar fasd-e-rag-e-gul nok-e-ḳhār ab ke baras
julte haiñ dil bulbuloñ ke āshiyāñ kī tarah se
ātish-e-gul kī hai gulshan meñ pukār ab ke baras
qismat apnī apnī hai achchhā mubārak ho 'habīb'
ḳhār-e-ġham ham ko tumheñ pahlū-e-yār ab ke baras
Top Urdushayar.com