Habeeb Moosavi

wo yun shakl-e-tarz-e-bayan khinchte hain

Habeeb Moosavi

vo yuuñ shakl-e-tarz-e-bayāñ khīñchte haiñ
ki qaa.il kī goyā zabāñ khīñchte haiñ
ye tash.hīr dekho sag-e-kū-e-dilbar
abhī tak mirī haDDiyāñ khīñchte haiñ
kare gar koī zikr jā kar hamārā
vo taalū se us kī zabāñ khīñchte haiñ
na sadme se kyuuñ ḳhushk ho ḳhūn-e-bulbul
guloñ kā araq bāġhbāñ khīñchte haiñ
baḌhī hai safar meñ vatan kī mohabbat
makīnoñ ko kyā kyā makāñ khīñchte haiñ
kare kaun saudā-e-zulf-e-musalsal
hamīñ haiñ jo ye beḌiyāñ khīñchte haiñ
pas-e-marg me.arāj āshiq kī dekho
lahad kī zamīñ āsmāñ khīñchte haiñ
nishāna banā.eñge tīr-e-nazar kā
mohabbat ke dil par nishāñ khīñchte haiñ
zarā dam to lene de ai maut mujh ko
Thahar kar nafas nā-tavāñ khīñchte haiñ
za.īfī meñ bhī dil meñ hai yād-e-abrū
kabāda haiñ ḳhud aur kamāñ khīñchte haiñ
mujhe dekh kar jab vo muñh moḌte haiñ
to dil meñ chhupā kar sināñ khīñchte haiñ
ġhazab hai hasīnoñ kā taur-e-takallum
diloñ ko ye jādū-bayāñ khīñchte haiñ
baḌhā fikr meñ rañg zardi-e-ruḳh se
ye itr-e-gul-e-za.afrāñ khīñchte haiñ
'habīb' ab zamīñ āsmāñ sar pe leñge
ki naale mire bijliyāñ khīñchte haiñ
Top Urdushayar.com