hue ḳhalq jab se jahāñ meñ ham havas-e-nazāra-e-yār hai
Thahar ai ajal ki vo ā.eñge dam-e-vāpsīñ kā qarār hai
raheñ mahv kyuuñ na har ek dam ki nazar meñ jalva-e-yār hai
dil-e-muntazir hai jo aa.ina to ḳhayāl ā.ina-dār hai
ye ḳhatā-e-ishq kī dī sazā ki mizha se mardum-e-chashm ne
mirā dil dikhā ke ye kah diyā ise lo ye qābil-e-dār hai
ye ḳhudā hī jaane vo kaun thā jo shahīd-e-nāz-o-adā huā
ki uḌī hai ḳhāk-e-rah-e-sanam to ḳhizāñ meñ rañg-e-bahār hai
huiiñ tark saarī mohabbateñ mire sar pe Dhaa.ī haiñ āfateñ
yahī dil ke lene meñ shart thī yahī mujh se qaul-o-qarār hai
ye junūñ kī dekhiye puḳhtagī jo kabhī kisī ne na ho sunī
mire pairahan kā jo taar hai vo har ek resha-e-ḳhār hai
koī dil kī niklī na aarzū huā ranj-o-ġham se jigar lahū
phire ḳhaak chhānte kū-ba-kū na to sabr hai na qarār hai
pas-e-marg bhī haiñ vahī sitam haiñ jafā.eñ ruuh pe dam-ba-dam
idhar aate aate vo phir ga.e jo sunā ki merā mazār hai
mire siine ko na hadaf karo tapish-e-jigar se Dare raho
par-e-murġh-e-tīr na jal uTheñ ki lahū ba-rañg-e-sharār hai
vo ḳhushī dikhā.ī na charḳh ne ki evaz meñ jis ke na ġham diye
kabhī farsh-e-gul hai jo ek shab to mahīnoñ bistar-e-ḳhār hai
jise dard-e-nāla-o-āh hai jo shahīd-e-teġh-e-nigāh hai
shab-e-hijr us kī gavāh hai vo 'habīb'-e-sīna-figār hai