chal nahīñ sakte vahāñ zehn-e-rasā ke joḌ-toḌ
un kī chāleñ haiñ qayāmat kī balā ke joḌ-toḌ
hai nazar-andāz koī koī manzūr-e-nazar
dekhnā us but kī chashm-e-fitna-zā ke joḌ-toḌ
kaj-adā.ī baat hai jis kī lagāvaT khel hai
siikh le us fitna-gar se koī aa ke joḌ-toḌ
pā ke qaabū karte haiñ ahl-e-ġharaz kyā dāñv-ghāt
chalte haiñ matlab kī chāleñ mudda.ā ke joḌ-toḌ
dost ban kar karte haiñ nekī ke parde meñ badī
rāj-niyyat ye hai dekho aġhniyā ke joḌ-toḌ
saḳhtiyāñ ustād haiñ insāñ kī duniyā meñ 'habīb'
karte haiñ maġhlūb ko ġhālib sikhā ke joḌ-toḌ