niind ujḌī to nigāhoñ meñ manāzir kyā haiñ
ham ki betāb kisī ḳhvāb kī ḳhātir kyā haiñ
barg-e-māsūm se karte haiñ ḳhizāñ kī bāteñ
mausam-e-sabz ke lamhāt bhī shātir kyā haiñ
jaise ujḌī huī bastī meñ ibādat kā samāñ
sūkhtī shāḳh pe baiThe hue taa.ir kyā haiñ
kyuuñ ba-har-lamha bikhartā hai yaqīñ kā paikar
tanz o tashkīk ke asbāb bil-āḳhir kyā haiñ
rāh-e-pur-ḳhār pe ye chalte bagūle kī tarah
roz-e-mahshar ke payāmī haiñ musāfir kyā haiñ
dardmandāna sadāqat ke payambar 'shahpar'
dard kī baat samajhne se bhī qāsir kyā haiñ