sab meñ huuñ phir kisī se sarokār bhī nahīñ
ġhāfil agar nahīñ huuñ to hoshyār bhī nahīñ
qīmat agar vo dete haiñ takrār bhī nahīñ
kuchh ham ko dil ke dene meñ inkār bhī nahīñ
nisbat hai jism o ruuh kī allāh-re ittihād
sub.ha agar nahīñ hai to zunnār bhī nahīñ
baiThā huuñ us kī yaad meñ bhūlā huuñ ġhair ko
zāhid agar nahīñ huuñ riyā-kār bhī nahīñ
jaa.eñ vo qatl-e-ġhair ko ham rashk se mareñ
aisī to apnī jaan se bezār bhī nahīñ
aanā ho aao varna ye kah do na ā.eñge
sun lo ye do hī bāteñ haiñ tūmār bhī nahīñ
saudā tamām ho gayā bāzār uTh gayā
vo dil bhī ab nahīñ vo ḳharīdār bhī nahīñ
tarz-e-jafā bhī bhuul ga.ī kyā vafā ke saath
dil-dār gar nahīñ ho dil-āzār bhī nahīñ
leñge hazār dar se palaT kar dar-e-murād
mun.im na deñ to kyā tirī sarkār bhī nahīñ
bhejeñge hasb-e-hāl unheñ go na likh sakeñ
kyā dāman aur dīda-e-ḳhūñ-bār bhī nahīñ
bulbul chaman ko dekh ḳhizāñ ke sitam ko dekh
gul kā to zikr kyā hai kahīñ ḳhaar bhī nahīñ
āzād haiñ sharāb ke aadī nahīñ 'habīb'
ahbāb gar pilā.eñ to inkār bhī nahīñ