aql par patthar paḌe ulfat meñ dīvāna huā
dil jo ik muddat se apnā thā vo begāna huā
kah gayā jo jī meñ aayā aisā dīvāna huā
buuñd meñ kam-zarf kā labrez paimāna huā
sachchī bātoñ meñ bhī hotā hai qayāmat kā asar
tazkira merā ajab dilchasp afsāna huā
bad-numā samjhā gayā paivand-e-istiġhnā-o-hirs
nañg dalq-e-faqr-e-kashkol-e-gadāyāna huā
rañg-e-ḳhullat se dil-e-shaidā muraqqa.a ban gayā
ye ḳhudā kā ghar bhī is sūrat se but-ḳhāna huā
muḳhrib-e-buniyād-e-āsā.ish hai raftār-e-jahāñ
bastiyāñ ujḌīñ kabhī ābād vīrāna huā
jaan hai mol us kā ai ishq-e-javānī jaan le
naqd husn-e-yūsuf-sānī kā bai.āna huā
tīra-baḳhtī kī balā se yuuñ nikalnā chāhiye
jis tarah suljhā ke zulfoñ ko alag shāna huā
jazb-e-dil ye hai ise kahte haiñ bātin kī kashish
un ke partav se munavvar merā kāshāna huā
kyā shikāyat us kī sāhab apnā apnā rañg hai
ġhair haiñ ham tum se jab ġhairoñ se yārāna huā
mil ga.e donoñ meñ thī jalne kī quvvat ek saañ
mail-e-jinsiyyat se juzv-e-sham.a parvāna huā
us kī shān-e-ālam-ārā.ī pe kī jis dam nazar
gosha-e-uzlat mirā darbār-e-shāhāna huā
qālib-e-ḳhākī meñ saaqī tū ne phūñkī hai ye ruuh
qulqul-e-mīnā se paidā shor-e-mastāna huā
ḳhuub hī rañg-e-javānī sheb ne khoyā 'habīb'
mahv dil se bhī ḳhayāl-e-rū-e-jānāna huā