Habeeb Moosavi

mehr-o-ulfat se maal-e-tahzib

Habeeb Moosavi

mehr-o-ulfat se ma.āl-e-tahzīb
ḳhāksārī hai kamāl-e-tahzīb
hai vo ārā.ish-e-husn-e-bātin
jis ko kahte haiñ jamāl-e-tahzīb
kam nahīñ mardumak-e-chashm se kuchh
ruḳh-e-insān pe ḳhāl-e-tahzīb
āj-kal ham meñ agar sach pūchho
shakl anqā hai misāl-e-tahzīb
kabhī hotā nahīñ bad-vaz.a kā ḳhauf
hai ajab jāh-o-jalāl-e-tahzīb
ruḳh pe kartā hai matānat paidā
dil meñ aate hī ḳhayāl-e-tahzīb
apne matlab kā jahāñ kuchh ho lagāv
nahīñ rahtā hai ḳhayāl-e-tahzīb
qaum kā apne na ghaTtā vo uruuj
ho na jaatā jo zavāl-e-tahzīb
jām-e-jam se hai kahīñ pur-tamkīñ
bazm-e-ḳhullat meñ sifāl-e-tahzīb
us kā ḳhuuñ karte haiñ jo nāhaq-kosh
un kī gardan pe vabāl-e-tahzīb
murda qaumoñ ke liye āb-e-hayāt
bantā jaatā hai zulāl-e-tahzīb
badr ban jā.egā chande meñ 'habīb'
haq ne chāhā to hilāl-e-tahzīb
Top Urdushayar.com