Habeeb Moosavi

gulon ka daur hai bulbul maze bahaar mein luT

Habeeb Moosavi

guloñ kā daur hai bulbul maze bahār meñ luuT
ḳhizāñ machā.egī aate hī is dayār meñ luuT
kushūd-e-kār kī koshish meñ de na hirs ko daḳhl
shikast detī hai faujoñ ko kār-zār meñ luuT
lubhā.e saikḌoñ dil un ke ḳhāl-e-āriz ne
machā.e zañgiyoñ ne vādī-e-tatār meñ luuT
vo muntazim hai rahe jis kī juz-o-kul pe nazar
na kar sake koī gūñgīr kārobār meñ luuT
jahāñ meñ hotī hai ehsān kī jazā ehsān
savāb nekiyoñ ke daur-e-iḳhtiyār meñ luuT
abas hai buuñd kā chūkā agar ghaḌe Dhalkā.e
hamesha naqd meñ vaarā hai yaañ udhār meñ luuT
kiye haiñ sheb ne sab jism ke qavā kamzor
shurūa ho ga.ī har samt is hisār meñ luuT
hujūm-e-yās meñ chhoḌ ai ummīd kishvar-e-dil
hai qatl-e-ām kā ġhul shahr meñ javār meñ luuT
bane vo fāteh-e-kaunain ḳhush ho tū jis se
zyāda ganj-e-kavākib se ho shumār meñ luuT
dayār-e-dil meñ hai phir dāġh-e-ishq kā toḌā
junūñ matā-e-havas mausam-e-bahār meñ luuT
bharī hai taaza har ek sar meñ shor-o-shar kī havā
ajab nahīñ jo mache bāġh-e-rozgār meñ luuT
'habīb' mashq-e-riyāzat se kho ke zañg-e-duī
maze visāl ke har dam firāq-e-yār meñ luuT
Top Urdushayar.com