ronā in kā kaam hai har dam jal jal kar mar jaanā bhī
jān-e-jahāñ ushshāq tumhāre sham.a bhī haiñ parvāna bhī
saarī umr meñ jo guzrī thī ham par vo rūdād likhī
par huī yuuñ mash.hūr ki jaisā ho na koī afsāna bhī
ishq sabhī karte haiñ magar jo hālat mujh par taarī hai
muñh se kahūñ gar haath malegā apnā bhī begāna bhī
pūchhte kyā ho merā Thikānā ek jagah gar ho to kahūñ
rāhguzar hai yaar kā dar hai masjid bhī mai-ḳhāna bhī
rāh-e-talab meñ chalte phirte lākhoñ aate jaate haiñ
ḳhalq meñ hai ushshāq kī manzil ka.aba bhī but-ḳhāna bhī
mujh par vo be-taur ḳhafā haiñ ġhairoñ ke bahkāne se
milnā kaisā baat kahāñ kī band hai aanā jaanā bhī
ek hamīñ kyā pech meñ haiñ us zulf-e-dotā kī ulfat se
mār-e-siyah ham-rañg hai apnā sumbul-e-tar bhī shāna bhī
kar dī sohbat darham-o-barham kis kī chashm ke afsūñ ne
bahkā saaqī Dhalkī botal aur chhalkā paimāna bhī
vaa.iz ke muñh par na kaho kuchh shar.a kī hurmat lāzim hai
rindī meñ mashrūt nahīñ haiñ bāteñ āzādāna bhī
ḳhanjar-e-abrū teġh-e-nigah taqrīr-e-musalsal chashm-e-siyāh
tez bhī hai ḳhūñ-rez bhī dil-āvez bhī hai mastāna bhī
kūche meñ us ke jam.a haiñ āshiq bhiiḌ lagī hai kosoñ tak
shor bhī hai hañgāma bhī hai shāne se chhiltā shāna bhī
ḳhalvat-e-dil meñ chain se baiTho kis se takalluf karte ho
ghar hai tumhārā tum ho yahāñ mehmān bhī sāhab-ḳhāna bhī
naam 'habīb'-e-muztar kā ma.alūm nahīñ sab kahte haiñ
dard-rasīda āfat-dīda vahshī bhī dīvāna bhī