firāq meñ dam ulajh rahā hai ḳhayāl-e-gesū meñ jāñkanī hai
tanāb-e-jallād kī tarah se rag-e-gulū āj-kal tanī hai
nahīñ hai parvā-e-māl-o-daulat safā-e-bātin se dil ġhanī hai
gadā haiñ hājat-ravā-e-sultāñ ye kīmiyā-e-farotanī hai
jigar meñ haiñ dāġh-e-mahr-o-ulfat shigāf-e-pahlū hai jeb-e-mashriq
shab-e-lahad hai ki sub.h-e-mahshar ye kis qayāmat kī raushnī hai
fazā.el-e-ittihād-e-millat jahāñ meñ vaj.h-e-muḳhālifat haiñ
muaaf hī rakhiye shaiḳh sāhab ye rahbarī hai ki rahzanī hai
ġharaz na rakkhe mai-e-jahāñ se to ham bhī qaa.il hoñ tere vaa.iz
kamāl kyā jab ummīd-e-fardā hī illat-e-pāk-dāmanī hai
hameñ na raas aayā dil lagānā ġhazab huā phir gayā zamāna
koī to kahtā hai qaid kar do koī ye kahtā hai kushtanī hai
raqīb ko paas gar biThāyā to mujh se hargiz na zabt hogā
miTā hī duuñ ek din ye jhagḌā bas ab to dil meñ yahī Thanī hai
koī kisī se na dil lagā.e na sar pe koh-e-alam uThā.e
nahīñ bharosa ḳhudā bachā.e ki ishq meñ jaan par banī hai
khapī hai dil meñ hañsī tumhārī firāq meñ kauñdtī hai bijlī
raheñ na kyuuñ ashk-e-surḳh jaarī jigar meñ almās kī kanī hai
kabhī to aa mere rashk-e-īsā huī hai muzmin tap-e-judā.ī
nahīñ shifā kī ummīd baaqī numūd chehre se murdanī hai
huā ye lāġhar asiir terā ki sab ko hai naqsh-e-pā kā dhokā
gale meñ jo tauq thā pahnāyā vo ab use hisn-e-āhanī hai
na teġh-e-qātil kā kyuuñ ho shohrā kiyā hai jo rañg-e-jism aisā
diye jo Tāñke to hai ye dhokā badan kā malbūs sozanī hai
zamīn par girte girte ham ko sunā gayā kāsa-e-sifālīñ
huā jahāñ daur-e-umr-e-āḳhir ye sāz-e-hastī shikastnī hai
jigar meñ barsoñ khaTak rahegī phuñkeñge pahlū chamak rahegī
ḳhayāl-e-mizhgān-e-yār-e-jānī sinān-e-dil-doz kī anī hai
azal se rindoñ ko mai kī aadat hai aur vaa.iz kī sarzanish kī
taḳhāluf-e-vaz.a se hai jhagḌā na dostī hai na dushmanī hai
'habīb' piirī meñ haiñ rañgīlī vo sabza rañgoñ hī par haiñ marte
hue haiñ do din pata nahīñ hai kisī se gahrī kahīñ chhanī hai