falak kī gardisheñ aisī nahīñ jin meñ qadam Thahre
sakūñ dushvār hai kyūñkar tabī.at koī dam Thahre
qazā ne dostoñ se dekhiye āḳhir kiyā nādim
kiye the ahd-o-paimāñ jis qadar vo kul adam Thahre
chhuā tū ne jise maarā use ai afa.ī-e-gesū
ye sab tiryāq mere tajraba karne meñ sam Thahre
kiyā jab ġhaur kosoñ duur niklī manzil-e-maqsad
kabhī gar pā-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre
lagā kar dil judā honā na thī shart-e-vafā sāhab
ġham-e-furqat kī shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre
jo kuchh dekhā vo ā.īna thā aane vaalī hālat kā
jahāñ dekhā yahī ā.ankhoñ ke kāñse jām-e-jam Thahre
amal kahne pe apne hazrat-e-vā.iz kareñ pahle
gunah ke mo'tarif jab haiñ to vo kab mohtaram Thahre
javānī kī siyah-mastī meñ vasf-e-zulf likkhā thā
baḌhā vo silsila aisā ki ham mushkīñ qalam Thahre
ye sābit hai ki mutlaq kā ta.ayyun ho nahīñ saktā
vo sālik hī nahīñ jo chal ke tā-dair-o-haram Thahre
bashar ko qaid-e-kulfat māya-e-andoh-o-āfat hai
rahe achchhe jo is mehmāñ-sarā meñ aa ke kam Thahre
'habīb'-e-nā-tavāñ se rāh-e-ulfat tai nahīñ hotī
ajab kyā gar ye rasta jāda-e-mulk-e-adam Thahre