Habeeb Moosavi

baDha di ek nazar mein tu ne kya tauqir patthar ki

Habeeb Moosavi

baḌhā dī ik nazar meñ tū ne kyā tauqīr patthar kī
banā kohl-ul-basar allāh re taqdīr patthar kī
asīr-e-zulf kyūñkar chhuT sakeñge qaid-e-vahshat se
ki hai har jāda-e-dasht-e-junūñ zanjīr patthar kī
ye jalva hai kunisht-o-dair meñ saan.e kī qudrat kā
ki dāva-e-ḳhudā.ī kartī hai tasvīr patthar kī
talāsh-e-rizq meñ ho āsiyā kī tarah sargardāñ
agar daanā hai tū bhī siikh le tadbīr patthar kī
batā sañg-e-jarāhat aa ke zaḳhm-e-teġh-e-abrū par
huā achchhā tire āshiq ko dī ta.azīr patthar kī
fusūn-e-chashm-e-qātil se banā huuñ sehr kā putlā
jo chhū le merī gardan ko to ho shamshīr patthar kī
shab-e-furqat meñ jo soche the karte vo shikāyat kyā
nazar karte hī un par ban ga.e tasvīr patthar kī
na niklī hai na niklegī jamī hai dil meñ jo un ke
miTāne se bhī miTtī hai kahīñ tahrīr patthar kī
sazā-e-ishq-e-mizhgān-e-butān-e-sañg-dil paa.ī
huī bārish har ik jānib se ham par tiir patthar kī
na farq aayā 'habīb'-e-sābir-o-shākir kī rāhat meñ
banā duniyā meñ qismat kā likhā tahrīr patthar kī
Top Urdushayar.com