us se kyā chhup sake banā.ī baat
taaḌ jaa.e jo dil kī aa.ī baat
kahiye guzrī hai ek saañ kis kī
kabhī bigḌī kabhī ban aa.ī baat
rahe dil meñ to hai vo baat apnī
muñh se niklī huī parā.ī baat
maiñ samajhtā huuñ ye na.ī chāleñ
kabhī chhuptī nahīñ sikhā.ī baat
kah diyā apne dil ko ḳhud be-rahm
chhīn lī mere muñh kī aa.ī baat
rakh liyā āshiqoñ ne nām-e-vafā
ga.ī jaañ par na jaane paa.ī baat
rañg bigḌā hai un kī sohbat kā
ab nahīñ hai vo ibtidā.ī baat
mujh se be-vaj.h hote ho bad-zan
kar ke bāvar sunī-sunā.ī baat
kyā ho un kā mizāj-dāñ koī
rūThnā khel hai laḌā.ī baat
ġhair kā zikr gar na thā sāhab
mere aate hī kyuuñ uḌaa.ī baat
dil meñ rakhtā hai ḳhuub sun ke 'habīb'
chāhe apnī ho yā parā.ī baat