vo uTThe haiñ tevar badalte hue
chalo dekheñ talvār chalte hue
na dekhā tire daur meñ ai falak
nihāl-e-tamannā ko phalte hue
haiñ añgusht-hairat-ba-dandāñ masīh
vo murde jilāte haiñ chalte hue
chalo mai-kada mahfil-e-va.az se
ye ammāme dekho uchhalte hue
zabāñ par tirā naam jab aa gayā
to girte ko dekhā sambhalte hue
mohabbat meñ paa.e har ik raah se
hazāroñ hī raste nikalte hue
haiñ kyā un kī zulfeñ ye ai dil na pūchh
chhalāve ko dekhā hai chhalte hue
bane juzv-e-tan jab chubhe ḳhār-e-ġham
ye kāñTe na dekhe nikalte hue
kiyā kuchh na jab tak rahā iḳhtiyār
jahāñ se chale haath malte hue
ġham-e-ishq paidā huā mere saath
use guzrī ik umr palte hue
ruke kis tarah teġh-e-abrū kā vaar
sunā hai ajal ko bhī Talte hue
in ā.ankhoñ ke fitnoñ kā kyā pūchhnā
ye jaadū haiñ lākhoñ meñ chalte hue
nahīñ sham.a-e-āriz pe ḳhat jama.a haiñ
hazāroñ hī parvāne jalte hue
fasāne haiñ mash.hūr ushshāq ke
kaTī umr furqat meñ jalte hue
javāñ marte dekhe bahut nā-murād
sunā hogā armāñ nikalte hue
nahīñ khel chalnā rah-e-ishq meñ
zarā paañv rakhnā sambhalte hue
jo mash.hūr sābit qadam the 'habīb'
unheñ ham ne dekhā phisalte hue