fariyād bhī maiñ kar na sakā be-ḳhabarī se
dil khīñch liyā us ne kamand-e-nazarī se
us but ko kiyā raam na soz-e-jigrī se
naale mire badnām hue be-asarī se
kab dil pe asar kartā hai zālim kā tamalluq
milte haiñ kahīñ zaḳhm-e-jigar baḳhiya-garī se
hai sāya-fagan taaza nihāl-e-chaman-e-husn
nisbat mire dil ko hai aqīq-e-shajrī se
uḌ jaate tere hosh mire naġhmoñ se bulbul
kar shukr ki majbūr huuñ be-bāl-o-parī se
har lutf se ḳhālī hai faroġh-e-dam-e-pīrī
raushan huā ye nuur charāġh-e-saharī se
dāman kī kalī bād-e-sabā khol sake kab
sātir nahīñ Darte haiñ kabhī parda-darī se
ulfat kā shajar sarv-qadoñ kī hai harī shāḳh
ushshāq ko bāvar huā ye be-samarī se
kahte haiñ vo sun kar ḳhabar-e-rehlat-e-ushshāq
jaldī gayā kahnā thā hameñ kuchh safarī se
hoñ laakh ḳhatar kūcha-e-dilbar na chhuTegā
uTh saktī hai zillat bhī kahīñ mard-e-jarī se
nafrat nahīñ lāzim tujhe zālim evaz-e-rahm
baiThā huuñ maiñ dil kho ke tirī hīla-garī se
aamil kareñ ik baar agar band to mai-kash
ḳhālī kareñ sau martaba shīshe ko parī se
kar dete haiñ yuuñ harza-darā ko kamlā-band
lab zaḳhm ke jis tarah mileñ baḳhiya-garī se
aġhyār hue kab mirī nākāmī kā baa.is
mahrūmiyāñ paidā huiiñ āshufta-sarī se
kar ġhair ko apnā ki murādoñ kā nishāñ de
bekār vo paikāñ hai judā ho jo sarī se
a.amāl-e-'habīb'-e-jigar-afgār kī kashtī
sāhil pe pahuñch jā.egī ashkoñ kī tarī se