Habeeb Moosavi

kisi ki jubba-sai se kabhi ghista nahin patthar

Habeeb Moosavi

kisī kī jubba-sā.ī se kabhī ghistā nahīñ patthar
vo chaukhaT mom kī chaukhaT hai yā merī jabīñ patthar
khulā ab rakhte haiñ pahlū maiñ pinhāñ nāznīñ patthar
na thā ma.alūm haiñ qalb-e-butān-o-mah-jabīñ patthar
biThāyā ḳhātam-e-izzat pe tere nām-e-nāmī ne
vagarna hai ye zāhir thā haqīqat meñ nagīñ patthar
dikhā.e phir na kyuuñ tāsīr apnī jazb-e-rūhānī
yaqīñ ho jaa.e jab hājat-ravā hai bil-yaqīñ patthar
talāsh-e-yār meñ kyā ḳhaar dāman-gīr himmat hoñ
hue nādim mile jab sadd-e-rah ban kar kahīñ patthar
jo maiñ ai koh-kan duuñ jān-e-shīrīñ ishq-e-shīrīñ meñ
to dikhlā.e bajā.e shiir jū-e-ābgīñ patthar
girā duuñ faiz-e-e.ajāz-e-nubuvvat se vo momin huuñ
chhupā.eñ phir muḳhālif gar myān-e-āstīñ patthar
pas-e-murdan rahe qalb-o-jigar meñ gar yahī sozish
to lauh-e-sañg-e-marmar hogī az ḳhud ātishīñ patthar
ye kahtā hai kisī nā-mehrbāñ kā mehrbāñ honā
pasījeñge tirī garmī se āh-e-ātishīñ patthar
girīñ har sañg-dil par bijliyāñ aisī havādis kī
ki dete haiñ gavāhī terī āh-e-ātishīñ patthar
'habīb' aa.e kahāñ se tāzgī naḳhl-e-mazāmīñ meñ
jahāñ tak dekhiye hai yak-qalam ye gul-zamīñ patthar
Top Urdushayar.com