lais ho kar jo mirā tark-e-jafā-kār chale
saikḌoñ ḳhuun hoñ har gaam pe talvār chale
nā-tavānī ne unheñ dariyā pe jaane na diyā
uTh ke sau baar gire raah meñ sau baar chale
terā kūcha hai vo ai but ki hazāroñ zāhid
Daal ke sub.ha meñ yaañ rishta-e-zunnār chale
ai shah-e-husn mukaddar na ho gar terā mizāj
ḳhaak apnī bhī jilau meñ pas-e-rahvār chale
sun ke ye garmī-e-bāzār terī ai yūsuf
naqd-e-jāñ rakh ke hathelī pe ḳharīdār chale
hai yaqīñ hashr meñ bhī ek nayā mahshar ho
uTh ke gar kākul-e-jānāñ ke giraftār chale
fasl-e-gul aa.ī uThā abr chalī sard havā
sū-e-mai-ḳhāna akaḌte hue mai-ḳhvār chale
hogā ehsāñ pa.e gul-gasht agar tū sayyād
saath le kar qafas-e-murġh-e-giraftār chale
der se baiThe the mushtāq-e-suḳhan sab ye 'habīb'
dekh uThte hī tere bazm se huzzār chale