Habeeb Moosavi

bana ke aaina-e-tasawwur jahan dil-e-dagh-dar dekha

Habeeb Moosavi

banā ke ā.īna-e-tasavvur jahāñ dil-e-dāġh-dār dekhā
firāq meñ lutf-e-vasl paayā ḳhizāñ meñ rañg-e-bahār dekhā
tamām kāmoñ kā rāste par hamesha dār-o-madār dekhā
fasād tīnat meñ jin kī paayā har ek sohbat meñ ḳhaar dekhā
sambhālā jis din se hosh ham ne vatan ko kul chand baar dekhā
na kī azīzoñ kī ġham-gusārī na phir ke apnā dayār dekhā
hue jo mānūs kaj-ravī se phire rah-e-sidq-o-rāstī se
na baiThe ik roz vo ḳhushī se na kuchh ba-juz intishār dekhā
bisāt-e-aish-o-tarab hai barham ye hai nasheb-o-farāz-e-ālam
piyāda haiñ un ko dekhte ham jinheñ hamesha savār dekhā
paḌī hai pīchhe kuchh aisī shāmat miTā rahe haiñ nishān-e-sarvat
bahut azīzoñ ko bahr-e-shohrat gañvāte apnā vaqār dekhā
jamā thā jis vaqt rañg-e-sohbat thā nek-o-bad meñ bhī lutf-e-ḳhullat
magar ḳhizāñ aa.ī yā qayāmat na phuul dekhā na ḳhaar dekhā
dil-o-jigar ko huā gavārā kahāñ surūr-e-sharāb-e-hastī
milā kabhī iztirār meñ ye kabhī use be-qarār dekhā
gayā vo daur-e-siyāh-mastī rahā faqat nām-e-mai-parastī
jo zo.af-e-pīrī meñ aañkh kholī to kuchh tabī.at pe baar dekhā
'habīb' ham ham-safīr-e-bulbul hamesha the gulshan-e-jahāñ meñ
vafā kī ḳhū bū ho jis meñ vo gul nazar na aayā hazār dekhā
Top Urdushayar.com